Ronak – Sad Diwali poetry (The emotions of a poor child )

Lamha lamha karke Zindagi Gujarti gayi,

Jo thodi bahut baki thi diyo mein lau,

Wo bhi pighalti rahin…….!

Diwali ki Ronak se jagmaga utha yunh to Sheher Sara,

Pr mere andhere ghar ki sari ronak dhalti gayi……….!

Meri aankhein bhi jagmaga uthti Diyo ki Roshniyon ki traah,

Pr meri badnaseebi ki lakeere thi ,Jo meri aankhon mein ubharti rahin …..!

Yunh to Khushiyon pr haq tha mera bhi ,

Pr ek tasveer thi ghamo ki Jo mere pagal dil ke aaine pr utarti gayi…..!

Kuchh yunh raha hr mod pr Safar mera,

Ki Zarra – Zarra krke mere pairon ki Zameen bhi fisalti rahin…..!

Mera bhi Mann tha bahut ,ki main bhi khreedu fhuljhadi aur patake ,

Pr khali jaibein thi,jo mujhe aur kangaal karti gayi……!

Chalo meri to chhodo mujhe apne chhote Bhai behen ki fikr thi,

Pr ye MaZbooriyan thi Sahib,jo meri bheegi aankhon mein aur khalipan bharti rahin…..!

Tamashbeen hi bana raha ye jahan Sara,

Aur hr baar ki traah is baar bhi meri Diwali gareebi mein hi Gujarti gayi…..!

_________________

_________

……. please help poor childrenšŸ˜¢…..

8 thoughts on “Ronak – Sad Diwali poetry (The emotions of a poor child )

Leave a reply to Eemaan Cancel reply