Gham-e-inteha____Urdu Poetry

Kuchh is traah Zindagi gujaar di humne ,

Gham-e-inteha thi, Jo kaat di humne…!

Zakhm kitne the kisi ko na thi khabar,

Apni hi cheekhti khamoshiyaan maar di humne …..!

Ye wo jakhm the jise chhupaye rakha Duniyaan se ,

Makaul thi hr Muskurahat , Jo utaar di humne …..!

Banta gya Nasoor wo hr Zakhm mera, jiski kabhi na ban saki Dawa koi ,

Hr takleef ko bardast Karne ki aadat bhi daal li humne……!

Ab intezar mein maut ke hum hain,

Zindagi mein Waqt bhi reh gya kamm hain,

Khwabon ka Jo chhota Sa ghronda tha uski bisaat bhi ujhaad di humne……!

Is Dil mein ab bass Dard hi Dard hain,

Tum soch na sako aisa mera marz hain,

Khushiyon ki jo kami thi Zindagi mein ,uski chahat bhi dil se Nikaal di humne…….!

Tu hi Dhoondh kar la de,

Muddato se khoya kahin mera kora kafan hain ,

Mitti mein mill Jane ki ab zidd thaan li humne …..!

Gujarte Waqt ko to thaam na sake hum ,

Pr Waqt ki suiyaan nahin meri Rooh ki bezubaan Dhadkaney thi wo ,jo thaam di humne……!

Haan kuchh is trah Zindagi gujaar di humne,

Gham-e-inteha thi Jo kaat di humne……!

10 thoughts on “Gham-e-inteha____Urdu Poetry

  1. Aman Huda 13th November 2018 / 1:11 pm

    Wow, extremely relate-able and really happy to read this being expressed in Urdu, my mother tongue. Just a tip, some words in which you used ‘j’ in Urdu uses a ‘z’. For example, ‘jakhm’ and supposed to be ‘zakhm’ and ‘bejubaan’ is ‘bezubaan’. Otherwise, I enjoyed not reading this, but feeling this.

    Liked by 1 person

      • Aman Huda 13th November 2018 / 3:35 pm

        I’m also starting Urdu writing. You can read one of my stories at urduahsaas.wordpress.com

        Liked by 1 person

      • Eemaan 13th November 2018 / 3:48 pm

        Okay I will definitely read your blog

        Liked by 1 person

  2. Ankit AKP 17th April 2019 / 6:32 pm

    Wow, Bahut Khoob

    Like

Leave a comment