Kitaab-e-Zindagi —best Urdu Poetry

Meri Zindagi ki kitaab bhi kya khoob rahin,

Wo haraf-e-galat likhte rahe aur meri Kahani banti gai …..!

Maine jab puchha namm aankhon se unse,

To Unki Teer-e-Nazar thi ,jo mujh pr chalti gai……!

Na tha pachtava aur na hi thi Sharmindagi unko ,

Aur meri naam-e-hasti thi, jo mitti mein milti gai……..!

Fir Tadapne lagi rooh meri ,

Aur ek wo the jinki Haiwaan-e-saza mujh pr aur badhti gai …..!

Fakht Dhadkano ka rukna baki tha abhi bhi kuchh,

Aur fir wo Din bhi aa hi gya, jab Safed kafan mein lipti meri Eemaan-e-jaan ………. nikalti gai……!

Kuchh aur bhi likha tha Shayad abhi is Kahani mein,

Pr is baar qalam Shaitaan ke nahin, thi bhagwaan ke hatho mein ,

Aaj Main marr kr bhi Zinda thi Shayad,

Tab hi to mere Marne ke baad bhi in aab-o-hawa mein meri khusboo bikharti gai…..!

Wo jo ek Shaqhs tha meri Puri Zindagi ki kamaai ,

mere Marne ke baad hi sahi ,pr ek baar fir uske Dil pe meri Eemaan-e-Tasveer ubharti gai…….!

23 thoughts on “Kitaab-e-Zindagi —best Urdu Poetry

  1. Ankit AKP 25th October 2018 / 3:32 am

    Bahut Sundar 👏👏

    Liked by 2 people

  2. Chiru 25th October 2018 / 9:31 am

    Badiya hai.. Keep writing such posts.
    meanwhile I have nominated you for the versatile blogger award.

    Liked by 1 person

  3. Eemaan 25th October 2018 / 9:36 am

    Thanks but what will happen then

    Like

  4. रोशन सिंह 26th October 2018 / 7:26 am

    वाह! बहुत ही खूब …. दिल छू लिया!

    Liked by 1 person

      • रोशन सिंह 26th October 2018 / 8:33 am

        Most welcome!

        Liked by 1 person

  5. ʞɐ 31st October 2018 / 6:40 pm

    Wow, this is amazingly written. I have never been able to write in Hindi. So, this feels great to read.

    Looking forward to read more of your posts. 🙂

    Liked by 1 person

Leave a comment